Showing posts with label Urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu poetry. Show all posts

Wednesday 22 June 2016

zindagi ki haqeeqat-Urdu Poetry


Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho...!
Bohat matlabi thy kuch log, jo tunha kar gaye....

***


***


Monday 20 June 2016

Sad poetry images

sad poetry

Sad poetry

urdupoetry

Kash

phool

Friday 17 June 2016

Ishq

Ishq hara ha to dil thaam k kiu bethy ho???
Tum to hr bat par kehty thy, koi bat nhi....!!!!



Yaadain

Yaadain

Meri yaadon se agar bach nikalo to ye wada hai mera tumse?
Mian khud duniyan se keh dunga ke kami meri wafa main thi
*************
yaadain
********


Mohabbat bhi zaroori thi

Muhabbat
Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge

Tune jab aakhiri khat mera jalaya… hoga

Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka

utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zuroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko

Woh jab dil ko churaya tha

Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte thhe
Mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha


Wahi hai sooratein apni

Wahi main hoon, wahi tum ho

Magar khoya huaa hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi
So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir thhe, musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Urdu Sad poetry

sad poetry

Jahan Se Tera Jee Chahe Meri Kitab e Zindagi Parh Le


Safah Chahe Jo Bhi Khule Naam Tera Hi Likha Hoga...!!
***********
sad poetry
****************
saza banjati

‘Saza Ban Jati hai Guzre huwe waqt ki Yaadein
                                          Najane Kyun Matlab k Liye Mehrban hoTe HaiN Logg..’

Thursday 16 June 2016

Urdu Poetry

Ghalib
Rahiye Ab Aisi Jagah Chal Kar Jahaan Koi Na Ho,
Ham Sukhan Koi Na Ho Aur Ham Zabaan Koi Na Ho

Be-Daro-Deevaar-Sa Ek Ghar Banaya Chahiye,
Koi Ham Saaya Na Ho Aur Paasbaan Koi Na Ho

Pariye Gar Beemaar Tou Koi Na Ho Teemaardaar,
Aur Agar Mar Jaiye Tou Noha Khoaan Koi Na Ho

Allama Iqbal

Urdu
UrduPoetry

urdupoetry
urdu